Prof. Syed Mujahid Sajjad

نعتِ رسالت مآب ﷺ

Syed Tehseen Gilani

Published 11 November 2026

تھا گیا مَیں تو درِ اقدس پہ لےکر چشمِ نم جھولیاں بھرتی گٸیں پھر مسکرایا ہر قدم

وقت کو دیکھا تھا میں نے ہاتھ باندھے تھا کھڑا اور سجدے میں پڑا دیکھا وہاں میں نے عَدَم

گونج تھی صلے اللہ کی روح میں ہر سانس میں ان کا ذکرِ پاک تھا میرے لہو میں دَم بہ دَم

آپ ہیں شاہِ زماں اور مالکِ کونین آپ یہ زمین اور یہ زمن، ہے آپ کی نظرِ کرم

تین سو پینسٹھ بتوں سے جو بھرا تھا در کبھی آپ کے قدموں کی برکت سے بنا ہے وہ حَرَم

ہے ولاۓ پنجتن میں جوش کھاتا یہ لہو پاک زہرا ، یا علی ،حسنین سے اپنا بھرم

Roman Urdu

Tha gaya main to dar-e-aqdas pe lekar chasham-e-nam

Jholiyan bharti gayin phir muskuraya har qadam

Waqt ko dekha tha main ne haath bandhe tha khara

Aur sajde mein para dekha wahan main ne 'Adam

Goonj thi "Sallallahu" ki rooh mein har saans mein

Un ka zikr-e-paak tha mere lahoo mein dam ba dam

Aap hain Shah-e-Zaman aur Malik-e-Kounain aap

Yeh zameen aur yeh zaman, hai aap ki nazar-e-karam

Teen sau painsath buton se jo bhra tha dar kabhi

Aap ke qadmon ki barkat se bana hai woh haram

Hai wilaye Panjtan mein josh khata yeh lahoo

Paak Zahra, Ya Ali, Husnain se apna bharam

More Urdu poetry by Syed Tehseen Gilani